Showing posts with label Educational. Show all posts
Showing posts with label Educational. Show all posts
Top 10 richest man in world|Duniya ke 10 sabse ameer aadmi

Top 10 richest man in world|Duniya ke 10 sabse ameer aadmi

Ameer(rich) kon nahi banna chahta, duniya ke lagbhag har aadmi ameer banna chahta hai,


Kuchh logo ke ameeri ke peechhe saalo sal ke din raat ka mehnat ka fal hota hai to kuchh logo ko ameeri virasat me mili hoti hai .

Bahut se log ameer banne ke liye din raat mehnat me lage rahte hain lekin unme se kuchh hi % log ameer ban paate hain



Duniya ke 10 sabse amir aadmi


ameer wahi log bante hain jo logo ki samasyaon ko jaante hain aur unhe solve karte hain matlab wo jo new startup open karte hain aur logo ko seva dete hain aur jab uska startup successful ho jaata hai to wo ameer bante hain

jaisa ki aap jaante hain ki forbes jo ki america ka ek famous magazine hai uske dwara har saal duniya ke 10 sabse ameer logo ki list jaari ki jaati hai,



aise hi aaj main is article me Top 10 richest man in world|Duniya ke 10 sabse ameer aadmi ki list share karne wala hun.

1. Jeff Bezos(Jeffery Preston Bezos)

jeff bezos


Jeff Bezos duniya ke sabse ameer aadmi me 1st number par aata hai.
Jeff Bezos ne saal 2017 me duniya ke sabse ameer aadmi Bill Gates ko pichhe chor kar pahle number par gya.Jeff Bezos America ka hai.

Jeff Bezos ka janm 12 january 1964 ko huwa tha.
Jeff Bezos ne 1986 me Princeton university se electrical engineering and Computer science se graduation kiya aur 1994 me Amazon.com ko banaya aur abhi wo Amazon ke CEO hain.

Jeff Bezos ke pass total property 148.4 billion US dollars(June 2020) hain .

2. Bernard Arnault(Bernard Jean Etienne Arnault)

bernard arnault


Duniya ke sabse ameer ki list me 2nd number Bernard Arnault ka aata hai jiska janm 5 march 1949 me huwa tha.Ye france ka hai.

Arnault ne 1971 me Cole Polytechique  se France ke leading engineering school se graduation kiya tha aur apne father ke company ke liye kaam karna shuru kar diya .

Arnault abhi LVMH ke chairman and CEO hain.

Arnault ki total property 110 US dollars(June 2020) hain.

3.Bill gates(William Henry gates III)

bill gates


Duniya ke sabse ameer aadmi me Bill Gates 3rd number par hain.

Bill Gates 1995 se 2017 tak lagatar 1st number par bana raha lekin 2017 me 2nd number par aa gya tha aur ab 3rd par .Bill Gates America ka hai.

Bill Gates ka janm 28 October 1955 ko huwa tha.
Bill Gates ne 1973 me lokside School se graduation kiya aur Harvard university me admission ke liye mankikrit exam "SATs me 1600 me se 1590 marks laya tha lekin usne 1975 me padhai ko chor diya .

Bill Gates ne 1975 me apne childhood(bachpan) friend Paul Allen ke sath Microsoft ko banaya.
Aur abhi wah Microsoft ke Co-founder hain.
Bill Gates ki total property 105.6 billion US dollars(may 2020) hain.



4. Mark zuckerberg(Mark Elliot Zuckerberg)



mark zuckerberg

Mark zuckerberg ameero ki is list me 4th number par ataa hai.
Mark zuckerberg ka janm 14 may 1984 ko huwa tha. Ye ek American internet entrepreneur hain.

Mark zuckerberg ne Harvard university se padhai ki aur 2004 me apne dosto ke sath mil kar facebook app banaya jo abhi duniya ka sabse bada social network ban gya hai .

Mark zuckerberg sabse kam umar me hi forbes ke top 10 ameero ki list me shamil ho gya, Abhi ye Facebook ke CEO and Founder hain.

Mark zuckerberg ki total property

76.4 billion US dollars (may 2020) hain.

5. Warren Buffett(Warren Edward Buffett)

warren buffet


Warren Buffett is list me 5th number par aata hai iska janm 30 August 1930 ko huwa tha ye ek American hain.


Warren Buffett ne 1951 me Columbia University se Economics me M.S. kiya.


Warren Buffett Berkshire Hathaway ke "Charlie Munger" ke sath leader hain.
Uska total property 70.5 billion US dollars(april 2020) hain.


6. Amancio Ortega(Amancio Ortega
Gaona)

amancio ortega


Ameero ki is list me 6th number aata hai Amancio Ortega ka jiska janm 28 march 1936 ko huwa tha.

Ye span ka rahne wala hai .

Ise Inditex group ke Co-founder ke roop me jana jata hain.
Iske paas total property 70.5 billion US dollars(June 2020) hain.

7.Larry Ellison(Lowrence Joseph Ellison)

larry ellison


Larry Ellison ameero ki list me 7th number par aata hai jiska janm 17 August 1944 ko huwa tha.


Larry Ellison CTO of Oracle  corporation ke Co-founder and Executive chairman hain.
Larry Ellison ki total property 66.7 billion US dollars (May 2020) hain.

8.Carlos Slim helu

carlos slim helu


Ameero ki list me 8th number par Carlos Slim helu aata hai jiska janm 28 january 1940 ko huwa tha .
Carlos Slim Telmex America Movil ke CEO hain.

Carlos Slim ne Civil engineering ki padhai ki hai.

Iski total property 52.6 billion US dollars(May 2020) hain.


9.David Koch(David Hamilton koch)

david koch


David koch sabse ameer logo ki list me 9th number par aata hai .
Devid koch ka janm 3 may 1940 ko huwa tha ye bhi ek American businessman tha .

David koch ki total property June 2019 me 48 billion US dollars the .
23 August 2019 ko cancer ki wajah se David koch ki death ho gayi.



10. Charles Koch(Charles de Ganahl Koch)

charles koch


Charles Koch ameero ki list me 10th number par aata hai jiska janm 1 November 1935 ko huwa tha.

Charles Koch ne Massachusetts Institute of Technology se padhai ki hai.

Charles Koch ki total property 47.5 billion US dollars(May 2020) hain.

Top 10 richest man in world|Duniya ke 10 sabse ameer aadmi


Mujhe ummeed hi aapko duniya ke 10 sabse ameer aadmi ke list ki sahi jankari mil gayi hai, 

top 10 richest man ki ye list internet se hi liya gya hai isliye isme kuchh galati bhi ho sakta hai Lekin maine puri koshish ke sath aapko sahi jankari dene ka prayas kiya hai .

Is article ke link ko aap dusre logo ke sath bhi share kijiye taki wo bhi ye jaan sake .

Aise hi kisi aur topic par aap jankari chahte hain to neeche comment box aapke comment ke liye hi khaali pada hai bas aap bejhijhak comment kijiye.

Main apke question ke sahi answer dene ki puri koshish karunga .

Thank you

What is Plasma therapy? Plasma therapy kya hai?Plasma therapy coronavirus se kaise bachata hai?

What is Plasma therapy? Plasma therapy kya hai?Plasma therapy coronavirus se kaise bachata hai?



Friends, corona virus jo december 2019 me china ke shahar Wuhan se shuru huwa tha wo ab tak lagbhag duniya ke sabhi desh me fail chuka hai. 

Aur hamare country India me bhi ye tezi se fail raha hai . Coronavirus ke is tezi ko rokne ke liye sabhi desh bahut koshish kar rahe hain, 

aur world ke lagbhag sabhi scientist corona virus ka ilaaj dhoondh raha hai,lekin unhe poori tarah se corona virus ko rokne ka ilaaj abhi tak nahi mil paya hai .

Lekin kahi kahi se achchhi khabar aa rahi hai .
Coronavirus ka vaccine to abhi tak nahi mil paya hai lekin bahut koshiso ke baad anek tareeke se ilaaj ke baad kisi kisi tareeke me result positive aa raha hai,aur bahut se corona mareej theek ho rahe hain .

Jisme ek ilaj ki sabse purani technique se corona ke bahut se mareej theek ho rahe hain aur wo technique hai "Plasma therapy"
Plasma therapy se bahut se mareej theek ho rahe hain.
Lekin kya aapko pata hai ki

"Plasma therapy kya hai?,What is Plasma therapy,what is Plasma technique,plasma technique kya hai?"


Isliye is post me aap janenge ki "Plasma therapy kya hai?"
Isse pahle ham jaan lete hain ki Plasma kya hai?

Plasma:
Jab hame shareer ke kisi hisse par chot lagta hai aur khoon bahne lagta hai to waha par khoon ka thakka jam  jata hai aur khoon bahna band ho jata hai aur Plasma ki wajah se hi khoon ka thakka jam jata hai.

Plasma therapy:-
Plasma therapy me Plasma ek person ke shareer se dusre person ke shareer me bheja jata hai aur isi prakirya ko Plasma therapy kaha jata hai .

Plasma therapy corona mareej ko kaise theek karta hai ?
Jab corona virus se infected person theek ho jata hai to us person ke Plasma ko dusre corona se infected person ke shareer me transfer kiya jata hai jisse infected person ki rog pratirodhak power badh jati hai aur wo person bhi Corona se theek ho jata hai .

Is tarah se corona se abhi tak bahut se mareej theek ho chuka hai .
India me bhi is technique se bahut se mareej theek ho chuke hain aur bahut se mareejo ka ilaj bhi ho raha hai,dua hai ki Plasma therapy se sabhi corona mareej theek ho jaaye aur corona virus is duniya se jald hi khatam ho jaaye.


What is Plasma therapy? Plasma therapy kya hai?covid19.

Mujhe ummed hai ki aapko plasma therapy ke baare me sab kuchh malum ho gya hoga.

Aapko hamara ye article kaisa laga aap neeche comment me hame jaroor bataye .