Showing posts with label Islam. Show all posts
Showing posts with label Islam. Show all posts
Why do muslims celebrate eid? Musalman eid kyo manate hain? Eid-ul-fitr kyo manaya jata hai?

Why do muslims celebrate eid? Musalman eid kyo manate hain? Eid-ul-fitr kyo manaya jata hai?

Hello friends! IzharTechno website me aapka swagat hai...

Friends jaisa ki aap sabhi ko malum hai ki abhi main jab is article ko likh raha hun (18 may 2020) ye ramazan ka mahina chal raha hai jisme sabhi muslim bhai Ramazan ke roze(upwas) rakhte hain, aur ramazan ka mahina pura hone ke baad musalman eid manate hain.

Eid khushiyo ka tyohaar hai,Eid musalmano ka sabse bada tyohaar hai.

Aise me aapke mn me ek Question jarur aata hoga ke muslim log Eid kyo manate hain?,akhir kuchh to karan hoga eid manane ka? Isliye is article me main aapko batane jaa raha hun ke

 "Musalman eid kyo manate hai?,eid kyo manaya jata hai? Musalman eid ul fitr kyo manate hain?,ईद क्यों मनाया जाता है?".



Eid mubarak picture 2020
Eid mubarak 2020



Eid kyo manaya jata hai?

Sabhi musalman ramazan me ek maah tak roza rakhta hai aur usi khushi me eid manaya jata hai Allah ka Shukriya ada karne ke liye kyonke Allah pak ne use ek mahina roza rakhne ki takat di. 

Kaha jata hai ke eid sabse pahle 624 iswi me Prophet Muhammad(S.W.A) ne Jang-e-badar me jeet hasil karne ke baad manaye the tab se eid manana shuru huwa hai .

Eid kab manaya jata hai?

Eid Ramazan ke 30/29 roze pure hone ke baad jab last roze ke shaam ko chand nazar aata hai to uske baad ane wale subah ko eid manaya jata hai. 

Hijri calender ke anusar ramazan saal ka nowa(9th) mahina hota hai aur eid 1st shawwal means daswa(10th) mahina ke pahli(1st) tareekh ko eid manaya jata hai.



Eid mubarak picture 2020
Eid mubarak


Eid ke din kya kiya jata hai ?

Eid ke din sabhi musalman subah uthte hain aur naha kar naya/saaf kapda pahante hain aur bhir kuchh meetha chiz kha kar eidgah/Masjid jate hain.

 Eidgah/Masjid me sabhi musalman do(2) raka'at eid-ul-fitr ki namaz ada karte hain.

Eid ki namaz masjid ke imaam ke dwara padhaya jata hai.

Aur namaz ke baad ek dusre ko salam karte hain aur gale milte hain.

Us din koi kisi se dushmani ka bhaw nahi rakhte hain ek dusre ke parati jo nafrat paida huwa rahta hai wo sab bhool kar sabhi log ek dusre se gale milte hain aur sewaiyan khate hain .

Aur sabhi musalman apne sampatti(property) ka 2.5% hissa gareebo ko daan karte hain taki wo bhi khush rahe. 

Aur koi bhooka na rahe isliye eid ke din gareebo ko khana bhi khilaya jata hai .

Eid ke din ghar ke sabhi bade apne chhote ko eidi(paise) bhi dete hain .

Eid ka tayohaar bhai-chare ka sandesh deta hain, yahi wajah hai ki sabhi dharm ke log eid ke tyohaar ko pasand karte hain.



Musalman eid kyo manate hain?

Mujhe ummeed hai ki is article se aapko is swal ka jwab mil gya hoga, agar aapko eid se related koi aur question puchhhna hai to aap comment me puchhiye main uska jwab jaroor dunga. 

Thankyou.